Subscribe to Aman Kumar Beriwal

Tuesday, November 15, 2011

meri kahani - falsafo ki jubaani

ek Akela chala tha un raho par...
manzilo ke jahan koi charche na the
 

Aankho main the wo badal ab tak...
kisi ke liye jo barse na the...

jaane Kitne hi tufaaa aaye or gaye..
par ye karwan rukta nahi hai

man bhi nasamajh hai kitna
manzil ho koi bhi..par rukta nahi hai...

zindagi shayad isi ka naam hai...
jahan main or tu kuch pal ke mehmaan hai...

muskara ke chalta ja raha hai un raho par
manzilo se ye ANJAAN magar aaj bhi Anjaan hai...

Ajnabee Chehra

Parinde ke par nikale the....aasmano ki udan ke liye..
Chale the wo apni dhun main... apni ek pahchaan ke liye...
khitizpar pahunch kar dekha... mila tha ek naya mukaam...
nahi mila to bus ek chehra ... jo ruka ho us Anjaan ke liye..

Ahsaas

bikhra tha tukdo main jo dil... dekha sapno main use jab jod kar...
jaga diye neend se bhi .... tumne mughe yu Jhanjhod kar...

Tanha hai ahsaas mere .. jab se gagye ho yu Chhod kar...
Rasta takta hai tumhara aaj bhi Anjaan.. Laut aao tum ab Daud kar..
.

Mushkile rasto ki

dar ho jab kanto ki chubhan ka ..
Gulistaan wahan khila nahi karte,,,

kabr ho jahan har khawhish ki...
Sapne un aankho main mila nahi karte...
...
kinare aati lahro main dundhe jo Seepiyan...
moti un machuaro ko mila nahi karte...

dar ho raste ki mushkilo ka jinhe Anjaan..
Afsaane un musafiro ke bana nahi karte...

Khawhishe..

Chandni ye chand ki jab .. halke se kuch kah jaati hai..
Khawhish tumse milne ki bus.. ek khawish hi rah jaati hai...

Sard hawaye un raato ki... asar kuch aisa kar jaati hai...
Duniya is Anjaan ki bus.. tughme hi simat kar rah jaati hai...
...
khawabo ka aalam hai ye ki.. neend bhi ud jaati hai..
char pal ki ye zindagi bin tere ab... sadiyo si nazar aati hai...

Lalima ugte us suraj ki subah.. ek nayi umang lekar aati hai...
par Khawhish tumse milne ki bus.. ek khawish hi rah jaati hai...