Subscribe to Aman Kumar Beriwal

Sunday, November 20, 2011

kastiyan

dekha jab khitiz tak... sahil na kahin nazar aaya...
andhera tha jaise din main ho ghana kohra chaya..

kastiyan chal rahi thi ab lahro ke sahare se...
jab gahre saunder main koi na maajhi nazar aaya..

iraade the mazboot or himmat bawandar se takarane ki..
or manzoor tha yadi naseeb main dubna hi aaya...

jhuka aasman irado se or badli dishaye hawao ki
ab kashtiyo ne tha jab ek naya mukaam banaya...

badhi kashtiyan bin maajhi ke Anjaan
or sailab khushiyo ka Ashko main nazar aaya...

2 comments:

Popular Posts