Subscribe to Aman Kumar Beriwal

Sunday, November 27, 2011

Ishq

ho jata hai aksar yu.. sochta hai kuch or..
par kuch or byaan ho jata hai..

kahte kahte jajabato ke wo tarane..
achanak kisi sur par chup ho jata hai...

thahra hua sa samaa meethi shararto ka..
halki si muskan chhod jata hai..

jab hota hai samna us masoom chehre se
neeli aankho main unki sara jahan doob jata hai

nigaho se hota hai byaan haal e dil phir..
or har chehre main nazar wo chehra aata hai..


Aksar ishq main hota hai Anjaan ye ki..
baithe baithe kisi ki yad min aksar dil kho jata hai..

No comments:

Post a Comment

Popular Posts