Subscribe to Aman Kumar Beriwal

Saturday, November 26, 2011

Subah

kahin jab suraj ki ek kiran..
vibhor ki hawao ki thanadk ko madak banati hai..

pahli jhalak baagh ke phoolo ki
mughe chupke chupke kuch halke se bahkaati hai...



prakarti ki is suhane drishya main...
Anjaan wahi ka hokar rah jata hai..

pal pal chanta kohra subah ke aasmano se..
mano koi apna khushi ka paigam lekar aata hai..



koyal ki wo meethi boli..
ek naye din ka ahsaas karati hai..

meethi khusbu maati ki..
mughe chupke chupke kuch halke se bahkaati hai...

No comments:

Post a Comment

Popular Posts